Nagmaat-e-Rasool
Hi guys This is Md Raza here.In this page you can see Naath, Speeches of Sunni Ulama, follow us
Maahe Ramazaan-ul-Mubarak Mubarak.
(माहे रमज़ान-उल-मुबारक मुबारक)
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Ramazaan lafz ‘Ramad’ se bana hai jis ka ma’ana hai Tapaana ya Jala dena.
Is mubarak mahine me musalman Roze ki ibaadat me bhuk pyaas ki shiddat bardaasht karte hain aur ALLĀH ta’ala apne fazl wa rahmat se un ke gunaah jalaakar mita deta hai aur Parhezgaari ki taufiq ata farmaata hai.
*******************
Maahe Ramazaan-ul-Mubarak ki fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur'ān :
2 Soorah al-Baqarah, Aayat 185 :
Ramazaan ka mahina (mubarak hai) jis me Qur'ān naazil hua hai jo logo ke liye hidaayat hai aur raahnumaai karne waala hai aur (haq wa baatil me) imtiyaaz karne waali nishaaniya hain, Pas tum me se jo koi is mahine ko paa le to wo us ke Roze zaroor rakhe aur jo koi beemaar ho ya safar par ho to dusre dino (ke roze) se ginti puri kare, ALLĀH tumhare haq me aasaani chaahta hai aur tumhare liye dushwaari nahi chaahta, Aur is liye ke tum ginti puri kar sako aur us ne tumhe jo hidaayat farmaai hai us par us ki badai bayaan karo aur is liye ke tum shukr guzaar ban jaao.
Hadeeṡe Nabawi :
(1) Hazrate Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Jab Maahe Ramazaan ki pehli raat hoti hai to shaitaan aur sarkash jinn qaid kar liye jaate hain aur Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain aur un me se koi darwaaza khola nahi jaata aur Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain aur un me se koi darwaaza band nahi kya jaata aur Munaadi pukaarta hai, Aye khair ki talab karne waale, Mutawajjeh ho aur burai ka iraada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLĀH ta’ala bahot se logo ko dozakh se aazaad karta hai aur har raat aisa hota hai.”
(Tirmizi;
Ibne Maajah)
(2) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
“Ramazaan me Zikr e Ilāhi karne waala bakhsh diya jaata hai aur is mahine me ALLĀH se maangne waala mehroom nahi rehta.”
(Sho'ab ul Eimaan, Hadeeṡ -3627)
(3) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
“Jis kisi ne is (Maahe Ramazaan) me ALLĀH ki raza ki khaatir bhala kaam kiya to woh aam dino ke muqaabil ek farz ke barabar ṡawaab kamaaya. Aur jo koi is mubarak Maah me ek farz amal ada karega to goya us ne aam dino ke muqaabil 70 guna zyada ṡawaab kamaaya.”
(Ibne Khuzaymah, Hadeeṡ -1887;
Bayhaqi)
(4) Hazrat Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
“Ramazaan me ek raat aisi hai jo hazaar mahino se behtar hai jo is ki bhalaiyo se mehroom raha wo beshak mehroom hai.”
(Nasai)
(4) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
“Maah e Ramazaan sabr ka mahina hai aur sabr ka ajr Jannat hai.”
(5) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
“Jo Musalman Jum’aa ki raat ya din me ya Ramazaan ke pure mahine me (Din ya raat me) mare use Qabr me sawaal nahi hoga.”
(Musand Imaam Ahmad, Hadeeṡ -8080)
********************
Yeh Mubarak mahina tamaam mahino ka sardaar hai.
Jis ke Pehla ashra Rahmat ka, Dusra ashra Maghfirat ka aur Aakhri ashra dozakh se najaat ka hai.
Aur is me Shab e Qadr ki mubarak raat aati hai, jo hazaar mahino se afzal hai.
Is me ALLĀH ta’ala Shaitaan ko qaid me daal deta hai.
Aur is Mo’mino me zyada Ibaadat karne ka jazba aur dilchaspi paida hoti hai.
ALLĀH ta’ala har neki ka ṡawaab zyada ata karta hai aur Duaen bhi jaldi qubool farmaata hai.
Nafl ka ṡawaab Farz ke barabar hota hai aur Farz ka ṡawaab 70 guna hota hai.
Is mahine marne waale ko ALLĀH ta’ala bakhsh deta hai.
Mo’min ko chaahiye ke wo Roza, Namaaz, Tilawaat e Qur'ān, Zikr, Durood o salaam, Zakaat, Sadqa, Khairaat karke Rabb ta’ala ko raazi karne ki koshish kare.
Is mubarak mahine me khaas kar Iftaar ke waqt ALLĀH ta’ala sab ki nek jaa'iz dua qubool farmaata hai.
Is liye sab ke liye dua karen ki ALLĀH ta’ala hume yeh mubarak mahina baar baar ata farmae.
********************
Maahe Ramazaan-ul-Mubarak ka Chaand dekhkar Soorah an-Naas padhen :
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ
مَلِكِ النَّاسِ
إِلَٰهِ النَّاسِ
مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ
مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ
Bismillāhir Rahmānir Raheem.
Qul aoozu bi-rabbin naas.
Malikin naas.
Ilāhin naas.
Min sharril waswaasil khannaas.
Al-lazee yuwaswisu fee sudoorin naas.
Minal jinnati wan naas.
Phir yeh masnoon dua padhen :
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه ، هلال رشد وخير
Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbee wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.
अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल अम्नि वल ईमानि वस्सलामति वल इस्लामि रब्बी व रब्बुकल्लाह हिलालु रुश्दिन व ख़ैरिन।
Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is chaand [mahine] ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Tera Rabb aur mera Rabb ALLĀH hai, yeh chaand hidaayat aur khair waala ho.
Translation :
O Allāh, let this moon appear on us with security and faith with safety and Islaam. (O moon!) Your Rabb and mine is Allāh. May this moon be bringing guidance and good.
(Jaami Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan;
Tabarani, Al-Mujam-ul-Awsat, Hadeeṡ -6241)
Phir yeh padhen :
(1) Wal hamdulillāhillazee khalaqa wa qaddaralaka manazila wa jalaka aaayatan lil aalameen.
(2) Allāhumm baarik lana fee ramadaan sahhil lana ashqalana.
********************
(1) Maahe Ramazaan-ul-mubarak ka chaand dekhkar Maghrib ki namaaz ada karne ke baad Soorah al-Qadr 21 martaba padhen. Saath me Awwal o Aakhir 3-3 martaba Durood shareef padhen :
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم
إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ
تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ
سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ
Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Inna anzalnahu fee laylatil qadr.
Wa maa adraaka maa laylatul qadr.
Laylatul qadr khayrum min alfi shahr.
Tanazzalul malaa'ikatu war roohu feehaa bi-izni rabbihil min kulli amrin.
Salaamun hiya hattā matla'il fajr.
(2) 3 Martaba Soorah al-Faatiha [Alhamdu shareef] padhen.
Bismillāhir Rahmānir Raheem.
Alhamdulillāhi Rabbil aalameen.
Ar-Rahmānir Raheem.
Maaliki yaumid deen.
Iyyaak na’abudu wa iyyaak nastaeen.
Ihadinas siraatal mustaqeem.
Siraatal lazeena an'amta alayhim ghairil maghdoobi alaihim walad daălleen.
(3) 1 Martaba Soorah al-Mulk padhen.
In shaa Allāh amaan aur rizq me barkat haasil hogi.
****************
Yeh Dua kaṡrat se padhte rahen :
Laa ilāh illallāhu nastaghrullāh nas'lukal jannat wana'aoozu bik minan naar.
Maahe Ramazaan ke pehle ashre me [1 se 10 roz tak] yeh dua padhen :
Allāhumm rhamnee ya arhamr raahimeen.
Ya hayyu ya qayyoomu birahmtik astagheeṡ.
Maahe Ramazaan ke dusre ashre me [11 se 20 roz tak] yeh dua padhen :
Allāhumm ghfir li zunubi ya rabbal aalameen.
Astaghfirullāh rabbi min kulli zambinw wa atoobu alaihi.
Maahe Ramazaan ke teesre ashre me [21 se 30 roz tak] yeh dua padhen :
Allāhumm atqinee minan naari wa adkhilni fil jannati ya rabbal aalameen.
********************
▪▪► Roze ki Niyyat :
Raat ko is tarah niyyat karen :
Nawaytu an asoom gadan lillāhi ta’ala min farzi ramadaan haaza.
[Niyyat ki maine ALLĀH ta’ala ke liye kal ramazaan ka farz roza rakhne ki.]
Din me [Subah ko] is tarah niyyat karen :
Nawaytu an asoom haazal yaum lillāhi ta’ala min farzi ramadaan haaza.
[Niyyat ki maine ALLĀH ta’ala ke liye aaj ke din ka ramazaan ka farz roza rakhne ki.]
Is ke baad yeh dua padhen :
Allāhumm asumu lak faghfir lee maa qaddamtu wa maa akh-khartu.
[Aye ALLĀH! Main tere liye roza rakh raha hu, Mere agle [hone waale] aur pichhle gunaah muaf farma.]
Ya waasial maghfirati.
▪▪► Asr se maghrib ke darmiyaan yeh dua padhen :
Ya waasial fadli wa ighfirlee.
▪▪► Roza iftaar karke yeh dua padhen :
اللَّهُمَّ اِنِّى لَكَ صُمْتُ وَبِكَ امنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ اَفْطَرْتُ فَتَقَبَّلْ مِنِّي
Allāhumm lak sumtu wa bik aamantu wa alayk tawakkaltu wa ala rizqik aftartu fa taqabbal minni.
[Aye ALLĀH! Maine tere liye roza rakha aur main tujh par eimaan rakhta hu aur tujh par yaqeen rakhta hu aur tere ata kiye rizq se iftaar karta hu, pas mere is roze ko qubool farma.]
****************
Maahe Ramazaan-ul-Mubarak khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu;
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Muhammad Fazal Ali Shaah Qureshi rahmatullāhi alaihi (Miskeenpur / Pakistan);
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen Husain Niyaazi Chishti rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Maulana M***i Muhammad Qaasim Mashorwi rahmatullāhi alaihi (Mashori / Pakistan);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Khaatoon e Jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Abdul Waahid Bilgrami rahmatullāhi alaihi (Bilgram, Uttar Pradesh);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Ṡaani Chishti rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Azeez-ud-deen Husain Munemi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khaas Muhammad al-Shirwani rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat M***i Ahmad Yaar Khan Naeemi rahmatullāhi alaihi (Gujrat / Pakistan)
4 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abdul Lateef Faarooqi Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat);
5 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Meeran Ji Shaah Bheekh Sayyed Muhammad Saeed Chishti rahmatullāhi alaihi (Gohram, Punjab);
5 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Qutub Mahmood Suharwardi Karantawi rahmatullāhi alaihi (Karanta, Gujarat);
5 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri rahmatullāhi alaihi (Rashidabad, Uttar Pradesh);
6 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Daawūd Chishti rahmatullāhi alaihi (Gangoh, Uttar Pradesh);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdullāh ibne Mas'ood radiy-Allāhu ta’ala anhu (Madeena Munawwara);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Haashim Peer Dastageer rahmatullāhi alaihi (Bijapur, Karnataka);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Mohaamd Saeed urfe Baaba Shaah Pilang Posh rahmatullāhi alaihi (Khuldabad, Maharashtra);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Badr-ud-deen Ahmad Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi;
8 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Qutb-e-Aalam Miyan Raaj Shaah Sundhwi rahmatullāhi alaihi (Sundh, Haryana);
8 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ustaad-ush-Shoara Hazrat Miyan Nazeer Husain Raaj shaahi rahmatullāhi alaihi (Fareed Nagar, Uttar Pradesh);
9 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shafeeq al-Balkhi rahmatullāhi alaihi (Khatlon / Tajikistan);
9 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Bedam Shaah Waarṡi rahmatullāhi alaihi (Dewa, Uttar Pradesh);
10 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha (Makka mukarrama);
10 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Nagauri rahmatullāhi alaihi (Delhi);
10 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Malik Mohammad Alam, Gudri Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
10 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Noor saahab Qaadri rahmatullāhi alaihi (Saharanpur, Uttar Pradesh);
11 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Maulana Shaah Misbaah-ul-Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi (Phaphund, Uttar Pradesh);
11 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Habeebullāh Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Singapore);
12 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Eisā Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Cairo / Egypt);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sirri Saqati rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muhammad Ibrāheem Soofi Siddeeqi rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Safiya bint Huyay radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Muhammad Ghauṡ Gwaliori rahmatullāhi alaihi (Gwalior, Madhya Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Sadr e Jahan Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Malerkotla, Punjab);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Wahaab Faarooqi urfe Sachal Sarmast rahmatullāhi alaihi (Daraza / Pakistan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Manikpur, Uttar Pradesh);
15 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu;
15 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Tabl-e-Aalam Sayyed Shaah Mutaahir-ud-deen Suhrawardi urfe Nathar Auliya rahmatullāhi alaihi (Tiruchirappalli, Tamil Nadu);
15 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Allama Maulana Faiz Ahmad Uwaisi rahmatullāhi alaihi (Bahawalpur / Pakistan);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Aale Muhammad Barkaati rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Muhammad Abdul Kareem Hyderabadi rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Soofi Abdul Kareem Jamaali Chishti rahmatullāhi alaihi (Chittorgarh, Rajasthan);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Soofi Barkat Ali Ludhianwi rahmatullāhi alaihi (Faisalabad / Pakistan);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Haafiz Muhammad Moosā Chishti Saabri rahmatullāhi alaihi (Manakpur, Punjab);
17 Ramazaan – Jang e Badr;
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrate Sayyeda Ruqayya radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Naseer-ud-deen Mahmood Chiraagh e Delhi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sharf-ud-deen Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi (Panipat, Haryana);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Qamar-ud-deen Sialwi rahmatullāhi alaihi (Sial / Pakistan);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Hyderabad / Pakistan);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdullāh al-Mahaz rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shaikh Muhammad Aabid Naqshbandi Sanaami rahmatullāhi alaihi (Delhi);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Is'hāq Shaah e Wilayat Suharwardi Saharanpuri rahmatullāhi alaihi (Saharanpur, Uttar Pradesh);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rehaan Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
20 Ramazaan – Fatah Makka;
20 Ramazaan – Hazrat Yaum e Wisaal Khwaja Qurbaan Ali Shaah Chishti Badakhshani rahmatullāhi alaihi (Rajgarh, Madhya Pradesh);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maula e kaa'inaat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu (Najaf / Iraq);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi (Mash'had / Iran);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdul Rahmān Jilani Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Ali Husain Baaqi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Noor Raaj shaahi rahmatullāhi alaihi (Meerut, Uttar Pradesh);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Muhammad Uṡmaan Siraaj-ud-deen Naqshbandi rahmatullāhi alaihi;
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Haleema Saadiya radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muhammad ibne Maajah rahmatullāhi alaihi (Qazvin / Iran);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Naseer-ud-deen Mahmood Bukhari Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Uch / Pakistan);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama M***i Sayyed Kifaayat Ali Kaafi Shaheed rahmatullāhi alaihi (Muradabad, Uttar Pradesh);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rahmatullāh Kiranwi rahmatullāhi alaihi (Makka mukarrama);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abul Haashim Mehboob Aalam Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Saida / Pakistan);
23 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Maulana Sayyed Hidaayat Rasool Razawi Rampuri rahmatullāhi alaihi (Rampur, Uttar Pradesh);
24 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana M***i Muhammad Sa’adullāh Muradabadi rahmatullāhi alaihi (Rampur, Uttar Pradesh);
25 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Kabeer Shareef Eidarusi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
25 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Aale Barkaat Suthre Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Sayyed Imaam-ud-deen Kufre shikan urfe Imaam Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi (Pirana, Gujarat);
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Sayyed Ayyoob Ali Razawi rahmatullāhi alaihi (Lahore / Pakistan);
27 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Saleem Chishti rahmatullāhi alaihi (Fatehpur Sikri, Uttar Pradesh);
27 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Allama Sayyed Siraaj-ud-deen Mohammad Khaleel Kaazmi Khaaki rahmatullāhi alaihi (Amroha, Uttar Pradesh);
28 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat M***i Sayyed Riyaaz-ul-Hasan Jilani rahmatullāhi alaihi (Hyderabad / Pakistan);
28 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat M***i Muhammad Khaleel Khan Barkaati rahmatullāhi alaihi;
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Amr bin Aas radiy-Allāhu ta’ala anhu (Fustat / Egypt);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Ali al-Jamaal Shaazili rahmatullāhi alaihi (Fez / Morocco);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Badr-ud-deen Auliya urf Badr Shaah rahmatullāhi alaihi (Chittagong / Bangladesh);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama M***i Shaah Muhammad Hasan Sambhali rahmahtullāhi alaihi (Sambhal, Uttar Pradesh);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ghulaam Husain Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi (Jamnagar, Gujarat);
30 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abu Uṡmaan Saeed bin Mansoor Maroozi rahmatullāhi alaihi.
*****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Maahe Ramazaan ki ta’azeem karne ki aur is me sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki aur is ke foyuz o barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae aur hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaane deen ko isaal e ṡawaab karne ki taufiq ata farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farmae.
Aameen.
Click here to claim your Sponsored Listing.
Category
Website
Address
Hyderabad